How to use internet in computer by using mobile data

 

How to use internet in computer by using mobile data,Mobile data se  computer me internet kaise chalaye-


Bahut logo ke pas android phone hota hai.aur log manually apne android phone me hi data pack bharbate hai.aur aise me vo apne computer/laptop me internet chala nahi pate.Esliye aaj mai apko bataunga ki kaise ap Mobile data se  computer me internet chala sakte hai.

Aj ham bat karenge Mobile data se computer me internet chalane ke liye.bahut logo ka yahi problem hota hai vo apne andoid phone data to dalva lete hai lekin vo computer me internet chalane me accessible nahi ho pate.

Aj hamare sabhi ke sabhi kam online ho chuka hai aur aise me hame internet ki bahut jyada zroorat hoti hai.
Aur aise me hamare pas mobile me data rahte huye bhi cafe ya other Internet service wale ko kam karne ka paisa dena parta hai.

To es article ki madad se ham simple way me janenge ki Mobile data se  computer me internet kaise chalaye.

Sabse pahle hamlog jan lete hai ki-

Mobile data se  computer me internet chalane ke liye kya-kya recuirement honi chahiye?
-Apne computer me internet chalane ke liye kuch-kuch chizo ka zroorat paregi jiski madad se ham apne computer me internet chala payenge.mai un chizo ko niche mention kar de rha hu.

1)Android phone
-Apke pas ek apne pas android phone rahna bahut zroori hai jisme internet data bhara rahe
[Friends mai apko bata du ki ye method ham hotspot ki method se karenge]

2)To apje mobile me hotspot ki bhi subhidha honi chahiye [Vaise ajkal ke sabhi mobile me hotspot hoti hai]

To friends,Ye sab Chizo ki zroorat hame paregi apne computer me mobile data se internet chalane ke liye.

Sabse pahle ham ye bhi sath me jan lete hai ki-

Mobile Hostpot kam kaise karta hai?

-Friends pahle jab hamlog android phone use karte the to usme hotspot ki subidha kam hi hoti thi jisse ham sirf khud data ko use kar sakte the.
Aur ab sabhi mobile me hotspot ki subidha hai eski madad se ham apne dosto ko,relatives ko kisi ko bhi apne hotspot ki madad se ham ek-dusre ke sath data share kar sakte hai.
ye kafi achha system diya gaya hai android phone me.

Ab hamlog jan lete hai main topic ki jisme ham jan sakte hai ki apne mobile data se computer internet kaise chala sakte hai.
ye method kafi easy hai.
to chaliye hamlog jan lete hai-

Mobile data se computer me internet kaise chalaye[How to use internet in computer by using mobile data].


-Es method ko use karne ke liye ap apne mobile phone aur apne computer/laptop ko open kare aur niche diye gaye steps ko achhe se follow kare.aur friends es method ko karne se pahle ap apna mobile ka internet connection On kar le.fir es method ko use kare .hame ummid hai ap asani se apne computer/laptop me apne mobile data ki help se internet chala payenge.

Now Follows These Steps:-
STEP1:-Sabse pahle apne mobile ke setting me jaye aur more par click kare
Mobile data se computer me internet kaise chalaye

STEP2:-Ab Mobile hotspot and thearing par click kare
STEP3:-Fir Mobile hotspot par click kare
STEP4:-Ab apne mobile hotspot ko on kare [jo ki pahle se off rahega]


Ab apke mobile ki hotspot on ho gayi hai.Friends,agar ap es pahli bar on kar rahe honge tab apka hotspot me security passowrd open rahega matlab ki apka hotspot me koe lock nahi rahega aise me apka  internet dusre log bhi chala sakte hai to sabse pahle apna hotspot ka password laga le. agar apko hotspot ka password lagane nahi ata to niche ka steps follow kare.

Mobile ke hotspot me password kaise lagaye.


-Apne android mobile ke hotspot me password lagane ke liye niche diye gaye step by step ko follow kare

STEP1:-Jaha par ap apne hotspot ko on/off karenge uske upar right side me apko More ka option milega uspe click kar de.
STEP2:-Ab Name me apne hotspot ka name fill kare jo ap apne hotspot ka name rkhna chahte hai
STEP3:-Ab security me WPA2 PSK option ko choose kare
STEP4:-Ab ap Password wale option me Apna passowrd fill kare.
Mobile data se computer me internet kaise chalaye

STEP5:-Etna sabhi kuch karne ke bad last me save button par click kar de


Ab apka hostspot puri tarah se security me ho gaya hai.ab apka bina permission ke koe bhi apka hotspot se data use nahi kar sakega.
jise ap chahenge sirf vahi apka data ko use kar payega.

Ab hamlog bat karenge main topic ki jiski madad se hamlog apne computer me internet chala payenge mobile data ki madad se to chaliye jan lete hai ki-

Computer me Internet kaise chalaye mobile data ko use karke[How to use internet in computer by using mobile data]

-Eske liye ap apne computer/laptop ko open kare aur niche diye gaye steps ko follow kare

STEP1:-Jab ap apne computer/laptop ko oprn karenge to niche right side me apko ek network ka icon dikhega.
[Jaisa ki ap niche image me dekh sakte hai]
Mobile data se computer me internet kaise chalaye

STEP2:-Ab us Network wale icon par click kare.
STEP3:-Ab apke samne kuch network/wifi ka name aa jayega [jo hotspot/wifi apke around me chal raha hoga]
Ap dekhenge ki apka bhi hotspot wala name apke computer/laptop me show ho rha hoga.
STEP4:-Ab uspar click kar de ab apko password ki mang karega to jo password aap-apne mobile hotspot me rakha tha vo yaha par fill kar de
STEP5:-Aur fir connect par click kar de

Now congratulation ab apke computer/laptop me mobile network ki madad se internet chalna start ho gaya hai.
ab ap jitna chahe utna apne computer me internet ka luft utha sakte hai.


i hope,Apke me jankari pasand aayi hogi ki mobile data se computer me internet kaise chalate hai.
aur agar apko ye article achha laga ho ki Mobile data se computer me internet kaise chalaye to ye method apne dosto ke sath socialmedia par share zroor kare.

   ~Thanks Fot Visiting~

Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.

Top Post Ad

Below Post Ad

Sports